Dukh Dard Ki Soghat Hai Dunya Teri Kia Hai Ashkon Bhari Barsaat Hai Dunya Teri Kia Hai



Dukh Dard Ki Soghat Hai Dunya Teri Kia Hai

Ashkon Bhari Barsaat Hai Dunya Teri Kia Hai

Kuch Log Yahan Noor e Sahar Dhoond Rahe Hein

Tareek See Ik Raat Hai  Dunya Teri Kia Hai

Taqdeer Ke Chehre Ki Shikan Daikh Raha Hon

Aaina e Halaat Hai Dunya Teri Kia Hai

Paband Masheeat Hai Tanafas Bhi Nazar Mein

Ik Jazba e Lamhat Hai  Dunya Teri Kia Hai

Majrooh Taqadus Hai Taqadus Ki Haqeeqat

Rodad e Kharabaat Hai Dunya Teri Kia Hai

SAGHAR Mein Chalaktay Hein Samawaat Ke Asrar

Saqi Ki Kiramaat Hai Dunya Teri Kia Hai

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai