Log Kehte Hein Zamane Mein Muhabbat Kam Hai Ye Agar Sach Hai Tou Is Mein Haqeeqat Kam Hai
لوگ کہتے ہیں زمانے میں محبت کم ہے
یہ اگر سچ ہے تو اس میں حقیقت کم ہے
Log Kehte Hein Zamane Mein Muhabbat Kam Hai
Ye Agar Sach Hai Tou Is Mein Haqeeqat Kam Hai
چند لوگوں نے اگر محل بنا رکھے ہیں
اس کا مطلب نہیں کہ شہر میں غربت کم ہے
Chand Logon Ne Agar Mahal Bana Rakhy Hein
Iska Matlab Nahi Keh Shehar Mein Ghurbat Kam Hai
اک ہم ہی نہ تھے جو یوں فراموش ہوئے ورنہ
بھول جانے کی اس شخص کو عادت کم ہے
Ik Hum Hi Na Thay Jo Yun Faramosh Hoe Warna
Bhool Jane Ki Us Shakhs Ko Aadat Kam Hai
کیوں نہ ہم چھوڑ چلیں شہر کی رونق ساغر
ویسے بھی اب اسے اپنی ضرورت کم ہے
Kion Na Hum Chod Chalein Shehar Ki ROnaq SAGHAR
Waise Bhi Ab Usay Apni Zarorat Kam Hai
ساغر صدیقی
Comments
Post a Comment