Na Sassi Na Main Heer Piya Main Banon Teri Taqdeer Piya



نہ سسی نہ میں ہیر پیا
میں بنوں تیری تقدیر پیا
Na Sassi Na Main Heer Piya
Main Banon Teri Taqdeer Piya

پیروں میں باندھے بیٹھی ہوں
تیرے عشق کی زنجیر پیا
Pairon Mein Bandhay Baithi Hon
Tere Ishq Ki Zanjeer Piya

کملی جھلی پھروں میں در در
میرا دامن لیر و لیر پیا
Kamli Jhali Phiron Main Dar Dar
Mera Daman Leer o Leer Piya

سپنوں میں کرتی رہتی ہوں
اِک تاج محل تعمیر پیا
Sapnon Mein Karti Rehti Hon
Ik Taj Mahal Ta'ameer Piya

میرے من پر قبضہ تیرا ہے
میں تیری ہوں جاگیر پیا
Mere Man Par Qabza Tera Hai
Main Teri Hoon Jageer Teri

میں قربان ازل سے تیرے پر
تُو میرا انت اخیر پیا
Main Qurban Azal Se Tere Par
Tu Mera Ant Aakhir Piya


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai