Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahi Jalwah e Toor Tou Mojood Hai Moosa Hi Nahi



تم میں حوروں کا کوئی چاہنے والا ہی نہیں
جلوۂ طور تو موجود ہے موسیٰ ہی نہیں
Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahi
Jalwah e Toor Tou Mojood Hai Moosa Hi Nahi

منفعت ایک ہے اس قوم کا نقصان بھی ایک
ایک ہی سب کا نبی دین بھی ایمان بھی ایک
Manfa'at Aik Hai Is Qoum Ka Nuqsan Bhi Aik
Aik Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Emaan Bhi Aik

حرم پاک بھی اللہ بھی قرآن بھی ایک
کچھ بڑی بات تھی ہوتے جو مسلمان بھی ایک
Haram Pak Bhi ALLAH Bhi Quran Bhi Aik
Kuch Badi Baat Thay Hote Jo Musalman Bhi Aik

فرقہ بندی ہے کہیں اور کہیں ذاتیں ہیں
کیا زمانے میں پنپنے کی یہی باتیں ہیں
Firqa-Bandi Hai Kahein Aur Kahein Zatein Hein
Kia Zamane Mein Panapnay Ki Yahi Batein Hein

کون ہے تارک آئین رسول مختار
مصلحت وقت کی ہے کس کے عمل کا معیار
Kon Hai Tarak Aaeen Rasool Mukhtar
Maslahat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Ma'ayar

کس کی آنکھوں میں سمایا ہے شعار اغیار
ہو گئی کس کی نگہ طرز سلف سے بے زار
Kis Ki Aankhon Mein Samaya Hai Shaa'ar Aghyar
Ho Gai Kis Ki Nigah Tarz Salaf Se Bezar

قلب میں سوز نہیں روح میں احساس نہیں
کچھ بھی پیغام محمد کا تمہیں پاس نہیں
Qalb Mein Soz Nahi Rooh Mein Ihsas Nahi
Kuch Bhi Paigham e Muhammad (P.B.U.H) Ka Tumhein Paas Nahi
جوابِ شکوہ
JAWAB SHIKWA

علامہ اقبال
Allama Iqbal


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo