Woh Dil Pe Barq Tajalli Gira Ke Chor Gaye Ab Is Sulagti Hoi Aag Ki Khuda Jane



بہے جو اشک تو دامن کو گل فزا جانے
ہم اپنے درد کے ٹیسوں کو زمزمہ جانے
Bahay Jo Ashk Tou Daman Ko Gul Faza Jane
Hum Apne Dard Ke Taison Ko Zamzama Jane

زمانہ ساز بہارو اسے فریب نہ دو
جو صرف اپنا زمانے کو آسرا جانے
Zamana Saaz Baharon Usay Farait Na Do
Jo Sirf Apna Zamane Ko Aasra Jane

ہم ایسے بادہ کشوں کا نہیں ہے کیش کوئی
کبھی سبو کو کبھی آپکو خدا جانے
Hum Aise Badah-Kashon Ka Nahi Hai Kaish Koi
Kabhi Sabo Ko Kabhi Aapko Khuda Jane

وہ دل پہ برق تجلی گرا کے چھوڑ گئے
اب اس سلگتی ہوئی آگ کی خدا جانے
Woh Dil Pe Barq Tajalli Gira Ke Chor Gaye
Ab Is Sulagti Hoi Aag Ki Khuda Jane

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha