'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahin Magar qaraar se din katt rahey hon yun bhi nahin


 

 'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahin
Magar qaraar se din katt rahey hon yun bhi nahin
Lab-o-dahan bhi mila gufta-gu ka fan bhi mila
Magar jo dil pe guzarti hai kah sukoon bhi nahin
Meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho
Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin
'Faraz' jaise koi diya turbat-e-havaa chahe hai
Tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahin

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai