Jari Hai Do Jahan Pe Hukomat Rasool (P.B.U.H) Ki Karte Hein Mehr o Maah Ata'at Rasool (P.B.U.H) Ki



ﺟﺎﺭﯼ ﮨﮯ ﺩﻭ ﺟﮩﺎﮞ ﭘﮧ ﺣﮑﻮﻣﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

ﮐﺮﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﻣﮩﺮ ﻭ ﻣﺎﮦ ﺍﻃﺎﻋﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

Jari Hai Do Jahan Pe Hukomat Rasool (P.B.U.H) Ki

Karte Hein Mehr o Maah Ata'at Rasool (P.B.U.H) Ki


ﺍﯾﻤﺎﻥ ﺍﯾﮏ ﻧﺎﻡ ﮨﮯ ﺣُﺐِّ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﺎ

ﮨﮯ ﺧُﻠﺪ ﮐﯽ ﺑﮩﺎﺭ ﻣﺤﺒﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

Emaan Aik Nam Hai Hub e Rasool (P.B.U.H) Ka

Hai Khuld Ki Bahar Muhabbat Rasool (P.B.U.H) Ki

ﻧﻮﮎِ ﻣﮋﮦ ﭘﮧ ﺟﻦ ﮐﯽ ﺭﮨﮯ ﺍﺷﮏِ ﮐﺮﺑﻼ

ﭘﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ ﺣﺸﺮ ﻣﯿﮟ ﻭﮦ ﺷﻔﺎﻋﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

Nok e Muja Ye Jin Ki Rahe Ashk e Karbala

Paaeingy Hashar Mein Woh Shafa'at Rasool (P.B.U.H) Ki

ﻏﺎﺭِ ﺣِﺮﺍ ﮐﻮ ﯾﺎﺩ ﮨﯿﮟ ﺳﺠﺪﮮ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﮯ

ﺩﯾﮑﮭﯽ ﮨﮯ ﭘﺘﮭﺮﻭﮞ ﻧﮯ ﻋﺒﺎﺩﺕ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

Ghar e Hira Ko Yaad Hein Sajday Rasool (P.B.U.H) Ke

Daikhi Hai Patharon Ne Ibadat Rasool (P.B.U.H) Ki

ﺩﺍﻣﺎﻥِ ﻋﻘﻞ ﻭ ﮨﻮﺵ ﺳﮩﺎﺭﺍ ﻧﮧ ﺩﮮ ﻣُﺠﮭﮯ

ﭼﺎﮨﺖ ﺧﺪﺍ ﮐﯽ ﺑﻦ ﮔﺌﯽ ﭼﺎﮨﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

Damaan e Aqal o Hosh Sahara Na Dy Mujhe

Chahat Khuda Ki Ban Gai Chahat Rasool (P.B.U.H) Ki 

ﺳﺎﻏﺮؔ ﺗﻤﺎﻡ ﻋﺎﻟﻢ ﮨﺴﺘﯽ ﮨﮯ ﺑﮯ ﺣﺠﺎﺏ

ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﺲ ﺭﮨﯽ ﮨﮯ ﻭﮦ ﺧﻠﻮﺕ ﺭﺳﻮﻝ ﮐﯽ

SAGHAR Tamam Aalam Hasti Hai Be-Hijaab

Aankhon Mein Bas Rahi Hai Woh Khilwat Rasool (P.B.U.H) Ki

کلام ساغر صدیقی

Poet:Saghar Siddiqui 

کتاب=کلیات ساغر

Book=Kulyat Saghar

Page No =49

صفحہ نمبر =49

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha