Dil-e-barbaad ko barbaad kahan tak rakhtay? Janay walay tujhay hum yaad kahan tak rakhtay?



دلِ برباد کو برباد ، کہاں تک رکھتے ؟
جانے والے تجھے ھم یاد ، کہاں تک رکھتے ؟
اب تیرے ھجر کی باتیں نہیں سنتا کوئی
اب لبوں پر تیری رُوداد ، کہاں تک رکھتے ؟
بڑی مشکل سے نکالا ھے ، تیری یادوں کو
اپنے گھر میں انہیں آباد ، کہاں تک رکھتے ؟
کارِ دُشوار تھی ، دوبارہ محبت لیکن
خود کو بیکار تیرے بعد ، کہاں تک رکھتے ؟
Dil-e-barbaad ko barbaad kahan tak rakhtay?
Janay walay tujhay hum yaad kahan tak rakhtay?
Ab teray hijar ki batain nahi sunta koi
Ab laboon par teri rodaad kahan tak rakhtay?
Bari mushkil se nikaala hai teri yaadon ko
Apnay ghar main inhain aabad kahan tak rakhtay?
Kaar-e-dushwaar thi dobaara mohabat laikin
Khud ko baikaar teray baad kahan tak rakhtay?


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo