Main ye samjha naya makeen aaya ghom kar dil ye phir wahein aaya



میں یہ سمجھا نیا مکیں آیا
گھوم کر دل یہ پھر وہیں آیا
آخری بار تم پہ آیا تھا
پھر مرے ہاتھ دل نہیں آیا
تب تلک دور جا چکا تھا میں
جب تلک تم کو تھا یقیں آیا
اک تجسس نے عمر بھر ڈھونڈا
کب نظر تم سا پر حسیں آیا
کیسی خوش فہم ہیں مری آنکھیں
اس کو دیکھیں ہیں جو نہیں آیا
آنکھ کھلتے ہی رو دیا ناداں
اس قدر خواب دل نشیں آیا
زندگی ہے عجب سفر ابرک
جا رہا تھا کہیں، کہیں آیا
اتباف ابرک
Main ye samjha naya makeen aaya
ghom kar dil ye phir wahein aaya
Aakhri bat tum per aaya tha
Pher mere hath dil nahen aaya
Tab talak dor ja chuka tha main
Jab talak tha tum ko yaqen aaya
Ek tajasus ne umar bhar dhondha
Kab nazar tum sa pher haseen aaya
Kesi khushfahem hain meri aankhain
Os ko dekhain hain jo nhen aaya
Aankh khulte he ro deya nadan
Is qadar khowab dilnashen aaya
Zindagi hai ajab safar Abrak
Ja raha tha kahen kahen aaya

Atbaf Abrak


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo