Itna sa yaad rakh mujhe Jaisey kisi kitaab mein



Itna sa yaad rakh mujhe
Jaisey kisi kitaab mein
Beety dino k dost ka
Ek khat para huwa milay
Lafz mitey mitey sey hon
Rang ura ura sa ho
Lekin woh ajnabi na ho
Bhooley huway tamaam dukh
Guzray huway tamaam sukh
Beety dino ka sab kuch
Tujh sey kahey aur ro pary
Bas itna sa yaad rakh mujhe
K jb kabhi baat-be-baat
yaad humari aa jaye
tou thora sa muskura lena
Or Dil ko ye samjha lena
Nadaan sa tha par acha tha
Ik dost hamara sacha tha

namaloom


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai