Ye Ishq Ki Aag Bhi Kia Aag Hai Dosto Har Kas o Na-kas Is Mein Hi Jalna Chahe



یہ عشق کی آگ بھی کیا آگ ہے دوستو
ہر کس و ناکس اس میں ہی جلنا  چاہے
Ye Ishq Ki Aag Bhi Kia Aag Hai Dosto
Har Kas o Na-kas Is Mein Hi Jalna Chahe

چاہے ہوں لاکھ پہرے مشکلیں ہوں درمیاں
پاگل دل محبوب کی ہی راہ پہ چلنا چاہے
Chahe Hoon Lakh Pehre Mushkilein Hoon Darmian
Pagal Dil Mahboob Ki Hi Rah Pe Chalna Chahe

دے  یا  نہ  دے  صدا مگر  یہ  دل
عاشق کی اک صدا پر مچلنا چاہے
De Ya Na De Sada Magar Ye Dil
Aashiq Ki Ik Sada Par Machalna Chahe

ہو لاکھ پتھر دل صنم اپنی ہر ادا میں
ہے سادگیءِ عشق کہ عاشق پگھلنا چاہے
Ho Lakh Pathar Dil Sanam Apni Har Ada Mein
Hai Sadgi e Ishq Keh Aashiq Pighalna Chahe

 یہ شمع سے پوچھیں کیوں ہےاسقدر پسند
کہ ہر پروانہ کر کے رقص اس پہ مرنا چاہے
Ye Shamma Se Poochein Kion Hai Is Qadar Pasand
Keh Har Parwana Kar Ke Raqs Is Pe Marna Chahe

کر کے عشق ہو جاتا ہے نڈر ہر بشر کیوں
یہ عاشق ہر ستم سے کیوں نہ ڈرنا  چاہے
Kar Ke Ishq Ho Jata Hai Nidar Har Bashar Kion
Ye Aashiq Har Sitam Se Kion Na Darna Chahe

ہے عشقِ حقیقی ہی دراصل اصلی عشق
دل یوں بے حجاب ہی اس میں پڑنا چاہے
Hai Ishq e Haqeeqi Hi Dar Asal Asli Ishq
Dil Yun Be-Hijab Hi Is Mein Padna Chahe


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha