Kia Wazea'a e Taghaful Thi Taqurb Nahi Kia Reshton Ko Todne Mein Tazabzab Nahi Kia



کیا  وضعِ تغافل تھی  تقرّب نہیں کیا
رشتوں کو توڑنے میں تذبذب نہیں کیا
Kia Wazea'a e Taghaful Thi Taqurb Nahi Kia
Reshton Ko Todne Mein Tazabzab Nahi Kia

تاریکیوں میں لوگ مِلے تھے بچھڑ گئے
پرچھائیوں کا ہم نے تعاقّب نہیں کیا
Tareekion Mein Log Mily Thay Bichad Gaye
Parchaion Ka Hum Ne Ta'aqub Nahi Kia

اپنے بھی فیضیاب ہوئے اور غیر بھی
بانٹا ہے پیار ہم نے تعصّب نہیں کیا
Apne Bhi Faizyab Hoe Aur Ghair Bhi
Banta Hai Piyar Hum Ne Ta'asub Nahi Kia

لایا ہے دیر سے سہی بلقیس کی خبر
ہُدہُد کو سُلیماں  نے تعذّب نہیں کیا
Laya Hai Der Se Sahi Balqees Ki Khabar
Hud Hud Ko Suleman Ne Ta'azab Nahi Kia

ہر موڑ پر گۓ ہیں ہمیں لوگ چھوڑ کر
تم بھی بدل گئے تو تعجّب نہیں کیا
Har Mod Par Gaye Hain Hamain Log Chod Kar
Tum Bhi Badal Gaye Tou Ta'ajub Nahi Kia

ارشد ہمیشہ پیار کیا دِل سے، ٹُوٹ کر
ہم نے محبّتوں میں تناسب نہیں کیا
ARSHAD Hamaisha Piyar Kia Dil Se Toot Kar
Hum Ne Muhabbaton Mein Tanasab Nahi Kia

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
مارچ ٣١ ٢٠٢٢


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai