Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana Andhera Barh Chala Hai La Zara Qandeel e Maikhana



فضا مغموم ہے ساقی! اُٹھا چھلکائیں پیمانہ
اندھیرا بڑھ چلا ہے لا ذرا قندیلِ میخانہ
Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana
Andhera Barh Chala Hai La Zara Qandeel e Maikhana

بہ فیضِ زندگی گذرے ہیں ایسے مرحلوں سے ہم
کہ اپنے راستے میں اب نہ بستی ہے نہ ویرانہ
Ye Faiz e Zindagi Guzre Hein Aise Marhalon Se Hum
Keh Apne Rastay Mein Ab Na Basti Hai Na Weerana

بس اتنی بات پر دشمن بنی ہے گردشِ دوراں
خطا یہ ہے کہ چھیڑا کیوں تری زلفوں کا افسانہ
Bas Itni Baat Par Dushman Bani Hai Gardish e Dauran
Khata Ye Hai Keh Chaida Kion Teri Zulfon Ka Afsana

چراغِ زندگی کو ایک جھونکے کی ضرورت ہے
تمہیں میری قسم ہے پھر ذرا دامن کو لہرانا
Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai
Tumhein Meri Qasam Hai Phir Zara Daman Ko Lehrana

دلوں کو شوق سے روندو، خرامِ ناز فرماؤ
اگر محشر ہوا تو پھر مجھے مجرم نہ ٹھہرانا
Dilon Ko Shouq Se Rondo , Khiram Naz Farmao
Agar Mahshar Howa Tou Phir Mujhe Mujrim Na Thehrana

تری محفل میں ساغرؔ سا بھی کوئی اجنبی ہوگا
یہ ظالم ایک مدت سے نہ اپنا ہے نہ بیگانہ
Teri Mehfil Mein SAGHAR Sa Bhi Koi Ajnabi Hoga
Ye Zalim Aik Muddat Se Na Apna Hai Na Begana

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai