Haqeeqat Jan Kar Aisi Himaqat Kon Karta Hai Bhala Be-Faiz Logo Se Muhabbat Kon Karta Hai



حقیقت جان کر ایسی حماقت کون کرتا ھے
بھلا بے فیض لوگوں سے محبت کون کرتا ھے
Haqeeqat Jan Kar Aisi Himaqat Kon Karta Hai
Bhala Be-Faiz Logo Se Muhabbat Kon Karta Hai
بتاو جس تجارت میں خسارہ ھی خسارہ ھو
بنا سوچے خسارے کی تجارت کون کرتا ھے
Batao Jis Tejarat Mein Khasarah Hi Khasarah Ho
Bina Sochay Khasare Ki Tejarat Kon Karta Hai
ھمیں ھی غلط فہمی تھی کسی کے واسطے ورنہ
زمانے کے رواجوں سے بغاوت کون کرتا ھے؟
Humain Hi Ghalat Fihmi Thi Kisi Ke Wastay Warna
Zamane Ke Rawajon Se Baghawat Kon Karta Hai

خدا نے صبر کرنے کی مجھے توفیق بخشی ھے
ارے جی بھر کے تڑپاو شکایت کون کرتا ھے
Khuda Ne Sabar Karne Ki Mujhe Toufiq Bakhshi Hai
Are Jee-Bhar Ke Tadpao Shikayat Kon Karta Hai
کسی کے دل کے زخموں پر مربم رکھنا ضروری ھے
مگر اس دور میں محسن یہ زحمت کون کرتا ھے
Kisi Ke Dil Ke Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Is Daur Mein MOHSIN Ye Zehmat Kon Karta Hai

محسن نقوی
Mohsin Naqvi


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai