Meri Tanhaai Barhatay Hein Chale Jate Hein Hans Talaab Pe Aate Hein Chale Jate Hein



میری تنہائی بڑھاتے ہیں چلے جاتے ہیں
ہنس تالاب پے آتے ہیں چلے جاتے ہیں
Meri Tanhaai Barhatay Hein Chale Jate Hein
Hans Talaab Pe Aate Hein Chale Jate Hein

اس لئیے اب میں کسی کو نہیں جانے دیتا
جو مُجھے چھوڑ کے جاتے ہیں چلے جاتے ہیں
Is Liye Ab Main Kisi Ko Nahi Jane Daita
Jo Mujhe Chod Ke Jate Hein Chale Jate Hein

شادیِٕ مرگ کا ماحول بنا رہتا ہے
آپ آتے ہیں، رُلاتے ہیں، چلے جاتے ہیں
Shadi-Marg Ka Mahol Bana Rehta Hai
Aap Aate Hein Rulate Hein Chale Jate Hein

کب تُمھیں عشق پے مجبور کیا ہے ہم نے؟؟
ہم تو بس یاد دلاتے ہیں، چلے جاتے ہیں
Kab Tumhein Ishq Pe Majboor Kia Hai Hum Ne??
Hum Tou Bas Yaad Delate Hein Chale Jate Hein

آپ کو کون تماشائی سمجھتا ہے یہاں؟؟
آپ تو آگ لگاتے ہیں، چلے جاتے ہیں
Aap Ko Kon Tamashaai Samajhta Hai Yahan??
Aap Tou Aag Lagate Hein Chale Jate Hein

نا معلوم
Na-Maloom


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai