Woh Mujh Ko Dastiyaab Badi Der Tak Raha Main Uska Intekhaab Badi Der Tak Raha



وہ مجھ کو دستیاب بڑی دیر تک رہا
میں اُس کا انتخاب بڑی دیر تک رہا
Woh Mujh Ko Dastiyaab Badi Der Tak Raha
Main Uska Intekhaab Badi Der Tak Raha

دیکھا تھا اس نے مڑ کے مجھے اک نظر تو پھر
آنکھوں میں اضطراب بڑی دیر تک رہا
Dekha Tha Usne Mod Ke Mujhe Ik Nazar Tou Phir
Aankhon Mein Iztaraab Badi Der Tak Raha

خوشبو مُقید ہو گئی لفظوں کے جال میں
کسی خط میں اک گلاب بڑی دیر تک رہا
Khushbo Muqayad Ho Gai Lafzon Ke Jaal Mein
Kisi Khat Mein Ik Gulaab Badi Der Tak Raha

چہرے پہ اُتر آئی تھی تعبیر کی تھَکن
پلکوں پہ ایک خواب بڑی دیر تک رہا
Chehre Pe Utar Aai Thi Ta'abeer Ki Thakan
Palkon Pe Aik Khuwaab Badi Der Tak Raha

پہلے پہل تو عشق کے آداب یہ بھی تھے
میں " آپ " وہ " جناب " بڑی دیر تک رہا
Pehle Pehal Tou Ishq Ke Aadaab Ye Bhi Thay
Main "Aap"Woh"Janaab"Badi Der Tak Raha

اک بار اُس نے مجھ کو پکارا تھا اور بس
ہوا میں وہ رباب بڑی دیر تک رہا
Ik Baar Usne Mujh Ko Pukara Tha Aur Bas
Hawa Mein Woh Rubaab Badi Der Tak Raha

صبح تلک اُس چھت پہ ستارے مقیم تھے
کھڑکی میں اک ماہتاب بڑی دیر تک رہا
Subah Talak Us Chhat Pe Sitare Muqeem Thay
Khidki Mein Ik Mahtaab Badi Der Tak Raha

اُس کے سوال پر سبھی الفاظ مر گئے
اشکوں میں پھر جواب بڑی دیر تک رہا
Uske Sawaal Par Sabhi Alfaaz Mar Gaye
Ashkon Mein Phir Jawaab Badi Der Tak Raha

گن گن کے اُس نے جب مجھے احسان جتائے
پوروں پہ پھر حساب بڑی دیر تک رہا
Gin Gin Ke Usne Jab Mujhe Ihsan Jataye
Poron Pe Phir Hisaab Badi Der Tak Raha

اک عمر تک میں اس کو بڑا قیمتی لگا
وہ بھی مجھے نایاب بڑی دیر تک رہا
Ik Umar Tak Main Usko Bada Qeemti Laga
Woh Bhi Mujhe Nayaab Badi Der Tak Raha
نا معلوم
Na-Maloom


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo