Aisa Koi Zindagi Se Wadah Tou Nahi Tha Tere Bina Jeenay Ka , Iradah Tou Nahi Tha



ایسا کوئی زندگی سے وعدہ تو نہیں تھا

تیرے بنا جینے کا , ارادہ تو نہیں تھا

Aisa Koi Zindagi Se Wadah Tou Nahi Tha

Tere Bina Jeenay Ka , Iradah Tou Nahi Tha 

ﺗﯿﺮﮮ ﻟﯿﮯ ﺭﺍﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﭼﺎﻧﺪﻧﯽ ﺍُﮔﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ

ﮐﯿﺎﺭﯾﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﮐﯽ ﺭﻭﺷﻨﯽ ﻟﮕﺎﺋﯽ ﺗﮭﯽ

Tere Liye Raton Mein Chandni Ugaai Thi

Kiyarion Mein Khushbo Ki Roshni Lagaai Thi 

ﺟﺎﻧﮯ ﮐﮩﺎﮞ ﭨُﻮﭨﯽ ﮬﮯ , ﮈﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺧﻮﺍﺏ ﮐﯽ

ﺧﻮﺍﺏ ﺳﮯ ﺟﺎﮔﯿﮟ ﮔﮯ ، ﺳﻮﭼﺎ ﺗﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺗﮭﺎ 

Jane Kahan Tooti Hai , Dor Mere Khuwaab Ki

Khuwaab Se Jageingy , Socha Tou Nahi Tha 

شامیانے شاموں کے روز ھی سجائے تھے

کتنی امیدوں کے مہمان بلائے تھے 

Shamyane Shamon Ke Roz Hi Sajaye Thay

Kitni Umeedon Ke Mehman Bulaye Thay 

آ کے دروازے سے لوٹ گئے ھو

یوں بھی کوئی آئے گا ، سوچا تو نہیں تھا 

Aa Ke Darwazay Se Laot Gaye Ho

Yun Bhi Koi Aaeiga , Socha Tou Nahi Tha 

ایسا کوئی زندگی سے وعدہ تو نہیں تھا

تیرے بنا جینے کا , ارادہ تو نہیں تھا 

Aisa Koi Zindagi Se Wadah Tou Nahi Tha

Tere Bina Jeenay Ka , Iradah Tou Nahi Tha 

گلزار

Gulzar

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo