Kisi ki yad jalaoun kabhi bujha doon usay Ke aik dil sa bana kar main phir mita doon usay



کسی کی یاد جلاؤں کبھی بُجھا دوں اسے
کہ ایک دل سا بنا کر میں پھر مِٹا دوں اسے
وہ ایک خواب ہے اور وہ بھی سانس لیتا ہوا
کوئی خیال نہیں ہے کہ میں بھُلا دوں _ اسے
بچھڑنے تک کی اجازت تو اس کو دے دی ہے
مرے خلوص بتا اب میں اور کیا دوں اسے
کبھی تو نیند سے اس کی یوں رابطہ ہو مرا
کہ اس کے خواب میں جا کر میں سب بتا دوں اسے
تعبیر علی
Kisi ki yad jalaoun kabhi bujha doon usay
Ke aik dil sa bana kar main phir mita doon usay
Wo aik khwab hai aur wo bhi sans leta hua
Koi khayal nahi hai ke main bhula doon usay
Bichhadne tak ki ijazat to us ko de di hai
Mere khuloos bara, ab main aur kia doon usay
Kabhi to neend se us ki youn rabta ho mera
Ke us ke khwab mein ja kar main sab bata doon usay

Tabeer Ali


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo