Meri Aankhon Se Girne Wala Har Aansoo Anmol Hai Saaein Is Ko Apne Paimanay Se Har-Giz Har-Giz Tol Na Saaein



میری آنکھ سےگرنے والا ہر آنسوانمول ہے سائیں

 اس کو اپنےپیمانے سے ہر گِز ہر گِزتول نہ سائیں

 Meri Aankhon Se Girne Wala Har Aansoo Anmol Hai Saaein

 Is Ko Apne Paimanay Se Har-Giz Har-Giz Tol Na Saaein

میرے کرب کوتُم کیا جانو گلے میں لٹکا ڈھول ہے سائیں

ساری دنیا ایک طرف پر تُجھ سا کوئی انمول نہ سائیں

Mere Karb Ko Tum Kia Jano Galay Mein Latka Dhol Hai Saaein

Sari Dunya Aik Taraf Par Tujh Sa Koi Anmol Na Saaein
 

ہیرے موتی لعل جواہر سب کے سب بے مول ہیں سائیں

وقت سے پہلےمر نہ جاوں زہر تُو اتنا گھول نہ سائیں

Heeray Moti La'al Jawahar Sab Ke Sab Be-Mol Hein Saaein

Waqt Se Pehlay Mar Na Jaoun Zehar Tou Itna Ghol Na Saaein


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha