Tere Shajare Mein Baghawat Ka Pehlo Hai Azal Se Kis Taweel Se Manon Keh Wafadaar Hai Tu



تیرے شجرے میں بغاوت کا پہلُو ہے ازّل سے 

کِس تاوِیل سے مانوں کہ وفادار ہے تُو

Tere Shajare Mein Baghawat Ka Pehlo Hai Azal Se

Kis Taweel Se Manon Keh Wafadaar Hai Tu

میرے قتل کی سازش میں تیرے نام کا چرچا

اے دُشمنِ جاں کیسا اداکار ہے تُو

 Mere Qatal Ki Sazish Mein Tere Naam Ka Charcha

Ae Dushman e Jaan Kaisa Adakaar Hai Tu

سرِ حشر کروں گا میں واضحِ یہ خدا پر

میری اُجڑی ہُوئی محبت کا گُنہِگار ہے تُو

 Sar e Hashar Karonga Main Wazih Ye Khuda Par

Meri Ujdi Hoi Muhabbat Ka Gunahgaar Hai Tu

اب تیری عبادات کےپردے بھی ہُوے چاک

عُقدہ یہ کُھلا ہے کہ رِیا کار ہے تُو

Ab Teri Aibadaat Ke Parday Bhi Hoe Chaak

Uqdah Ye Khula Hai Keh Ria-Kaar Hai Tu

جا معاف کیا تُجھ کومگر یاد رہے

اب میری کہانی میں سِیاہ کار ہے تُو

Ja Muaf Kia Tujh Ko Magar Yaad Rahe

Ab Meri Kahani Mein Siah-Kaar Hai Tu

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai