Humain Jo Yaad Madeenah Ka Lala-Zar Aaya Tasawuraat Ki Dunya Peh Ik Nikhaar Aaya



ہمیں جو یاد مدینہ کا لالہ زار آیا
تصورات کی دنیا پہ اک نکھار آیا
Humain Jo Yaad Madeenah Ka Lala-Zar Aaya
Tasawuraat Ki Dunya Peh Ik Nikhaar Aaya

کبھی جو گنبد خضریٰ کی یاد آئی ہے
بڑا سکون ملا ہے بڑا قرار آیا
Kabhi Jo Gunbad e Khizra Ki Yaad Aai Hai
Bada Sukon Mila Hai Bada Qarar Aaya

ہزار شمس و قمر  راہ شوق سے گزرے
 خیالِ حُسن محمدص جو بار بار آیا
Hazar Shams o Qamar Rah Shouq Se Guzre
Khayal e Husn MUHAMMAD(P.B.U.H) Jo Bar Bar Aaya

عرب کے چاند نے صحرا بسا دیے ساغر
وہ ساتھ لے کے تجلی کا اک دیار آیا
Arab Ke Chand Ne Sahra Basa Diye SAGHAR
Woh Saath Le Ke Tajalli Ka Ik Diyar Aaya

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai