Uljhi Thi Aqal o Hosh Mein SAGHAR Rah Hayat Main Le Ke Tera Nam Fana Se Guzar Gaya
ﻧﺎﻟﮧ ﺣﺪﻭﺩِ ﮐﻮﺋﮯ ﺭَﺳﺎ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
ﺍﺏ ﺩَﺭﺩِ ﺩﻝ ﻋﻼﺝ ﻭ ﺩﻭﺍ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
Nalah Hudood e Kooye Rasa Se Guzar Gaya
Ab Dard e Dil Ilaj o Dawa Se Guzar Gaya
ﺍُﻥ ﮐﺎ ﺧﯿﺎﻝ ﺑﻦ ﮔﺌﯿﮟ ﺳﯿﻨﮯ ﮐﯽ ﺩﮬﮍﮐﻨﯿﮟ
ﻧﻐﻤﮧ ﻣﻘﺎﻡِ ﺻﻮﺕ ﻭ ﺻﺪﺍ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
Unka Khayal Ban Gaein Seenay Ki Dhadkanein
Naghma Muqam Soot o Sada Se Guzar Gaya
ﺍﻋﺠﺎﺯِ ﺑﮯ ﺧﻮﺩﯼ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺣُﺴﻦِ ﺑﻨﺪﮔﯽ
ﺍِﮎ ﺑُﺖ ﮐﯽ ﺟﺴﺘﺠﻮ ﻣﯿﮟ ﺧﺪﺍ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
Aijaz Be-Khudi Hai Keh Husn Bandagi
Ik Butt Ki Justjo Mein Khuda Se Guzar Gaya
ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺳﯿﻢ ﻭ ﺯﺭ ﮐﯽ ﺗﺠﻠّﯽ ﻧﮯ ﮈﺱ ﻟﯿﺎ
ﮨﺮ ﺟُﺮﻡ ﺍﺣﺘﯿﺎﺝِ ﺳﺰﺍ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
Insaf Sem o Zar Ki Tajalli Ne Das Lia
Har Jurm Ikhtiaj Saza Se Guzar Gaya
ﺍُﻟﺠﮭﯽ ﺗﮭﯽ ﻋﻘﻞ ﻭ ﮨﻮﺵ ﻣﯿﮟ ﺳﺎﻏﺮؔ ﺭﮦ ﺣﯿﺎﺕ
ﻣﯿﮟ ﻟﮯ ﮐﮯ ﺗﯿﺮﺍ ﻧﺎﻡ ﻓﻨﺎ ﺳﮯ ﮔﺰﺭ ﮔﯿﺎ
Uljhi Thi Aqal o Hosh Mein SAGHAR Rah Hayat
Main Le Ke Tera Nam Fana Se Guzar Gaya
ﺳﺎﻏﺮؔ ﺻﺪﯾﻘﯽ
Saghar Siddiqui
Comments
Post a Comment