Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana Andhera Badh Chala Hai La Zara Qandeel e Maikhana



فضا مغموم ہے ساقی! اُٹھا چھلکائیں پیمانہ 

اندھیرا بڑھ چلا ہے لا ذرا قندیلِ میخانہ

Fiza Maghmoom Hai Saqi ! Utha Chalkaein Paimana

Andhera Badh Chala Hai La Zara Qandeel e Maikhana

بہ فیضِ زندگی گذرے ہیں ایسے مرحلوں سے ہم

کہ اپنے راستے میں اب نہ بستی ہے نہ ویرانہ

Bah Faiz e Zindagi Guzre Hein Aise Marhalon Se Hum

Keh Apne Rastay Mein Ab Na Basti Hai Na Weerana

بس اتنی بات پر دشمن بنی ہے گردشِ دوراں

خطا یہ ہے کہ چھیڑا کیوں تری زلفوں کا افسانہ

Bas Itni Baat Par Dushman Bani Hai Gardish e Daoraan

Khata Ye Hai Keh Chaida Kion Teri Zulfon Ka Afsana

چراغِ زندگی کو ایک جھونکے کی ضرورت ہے

تمہیں میری قسم ہے پھر ذرا دامن کو لہرانا

Charagh e Zindagi Ko Aik Jhonkay Ki Zaroorat Hai

Tumhein Meri Qasam Hai Phir Zara Daman Ko Lehrana

دلوں کو شوق سے روندو، خرامِ ناز فرماؤ

اگر محشر ہوا تو پھر مجھے مجرم نہ ٹھہرانا

 Dilon Ko Shouq Se Rondo , Kharam e Naaz Farmao

Agar Mahshar Hoa Tou Phir Mujhe Mujrim Na Thehrana

تری محفل میں ساغرؔ سا بھی کوئی اجنبی ہوگا

یہ ظالم ایک مدت سے نہ اپنا ہے نہ بیگانہ

Teri Mehfil Mein SAGHAR Sa Bhi Koi Ajnabi Hoga

Ye Zalim Aik Muddat Se Na Apna Hai Na Be-Ganah

ساغر صدیقی

Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo