Usay Kehna Bazahir Tou Hawaein Badli Badli Hein Chaman Bhi Badla Badla Hai



ﺍﺳﮯ ﮐﮩﻨﺎ
ﺑﻈﺎﮨﺮ ﺗﻮ ﮬﻮﺍﺋﯿﮟ ﺑﺪﻟﯽ ﺑﺪﻟﯽ ﮬﯿﮟ
ﭼﻤﻦ ﺑﮭﯽ ﺑﺪﻻ ﺑﺪﻻ ﮬﮯ
ﻣﮕﺮ ﺩﻝ ﻣﯿﮟ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﻣﻮﺳﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﺪﻻ
ﺗﯿﺮﯼ ﭼﺎﮨﺖ ﮐﮯ ﭘﮭﻮﻟﻮﮞ ﮐﯽ
ﺍﺑﮭﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺑﮑﮭﺮﯼ
ﻣﯿﺮﮮ ﺍﻧﺪﺭ ﺗﻤﮭﺎﺭﯼ ﺫﺍﺕ ﮐﺎﺍﺣﺴﺎﺱ ﺑﺎﻗﯽ ﮬﮯ
ﺗﻤﮭﺎﺭﮮ ﺩﻡ ﺳﮯ ﻣﯿﺮﯼ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﻣﯿﮟﺳﺎﻧﺲ ﺑﺎﻗﯽ ﮬﮯ
ﺍﺳﮯ ﮐﮩﻨﺎ
ﻣﻮﺳﻢ ﺗﻮ ﺑﺪﻟﺘﮯ ﺭﮬﺘﮯ ﮬﯿﮟ
ﯾﻮﻧﮩﯽ
ﮐﺒﮭﯽ ﻣﻮﺳﻢ ﺑﺪﻟﻨﮯ ﺳﮯﯾﮧ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﻧﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﺗﯿﮟ
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﺗﯽﻣﺤﺒﺖ ﮐﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﺗﯽ

Usay Kehna

Bazahir Tou Hawaein Badli Badli Hein

Chaman Bhi Badla Badla Hai

Magar Dil Mein

Tumhari Yaad Ka Mousam Nahi Badla

Teri Chahat Ke Phoolon Ki

Abhi Khushbo Nahi Bikhri

Mere Andar Tumhari Zaat Ka Ihsaas Baqi Hai

Tumhare Dum Se Meri Zindagi Mein Saans Baqi Hai

Usay Kehna

Mousam Tou Badaltay Rehtay Hein

Yunhi

Kabhi Mousam Badalne Se Ye Aankhein Nam Nahi Hotein

Muhabbat Kam Nahi Hoti Muhabbat Kam Nahi Hoti

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai