Zakham e Dil Pur Bahar Daikha Hai Kia Ajab Lala Zaar Daikha Hai



زخمِ   دل    پُر   بہـار   دیکھا  ہے
کیا   عجب   لالہ   زار   دیکھا  ہے
Zakham e Dil Pur Bahar Daikha Hai
Kia Ajab Lala Zaar Daikha Hai
جن کے دامن میں کچھ نہیں ہوتا
ان کے  سینوں میں  پیار دیکھا ہے
Jin Ke Daman Mein Kuch Nahi Hota
Unke Seenon Mein Piyar Daikha Hai

خاک  اڑتی  ہے  تیری  گلیوں میں
زندگـی    کا    وقار    دیکھا    ہے
Khaak Udti Hai Teri Galion Mein
Zindagi Ka Waqar Daikha Hai

تشنگی  ہے  صدف کے  ہونٹوں پر
گل   کا   سینہ   فگار   دیکھا   ہے
Tishnagi Hai Sadaf Ke Honton Par
Gul Ka Seenah Fagar Daikha Hai

ساقیــا!!     اہتمـــام     بادہ     کر
وقت   کو   سوگــوار   دیکھا   ہے
Saqiya!! Ahtemam Badah Kar
Waqt Ko Sogwar Daikha Hai

جذبۂِ   غم   کی   خیر   ہو  ساغرؔ
حسرتـوں   پر   نکھار   دیکھا   ہے
Jazbah e Gham Ki Khair Ho SAGHAR
Hasraton Par Nikhar Daikha Hai

ساغرؔ صدیقی
Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha