Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai



Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai
Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai
Yahi Zulmatein Chunein Jo Tere Surkh Aanchalon Mein
Inhi Zulmaton Se Shayed Mere Ghar Mein Roshni Hai
Mere Saath Tum Bhi Chalna Mere Saath Tum Bhi Aana
Zara Gham Ke Raston Mein Badi Tez Tergi Hai
Ye Mushahida Nahi Hai Mere Dard Ki Sada Hai
Mere Dagh Dil Liye Hein Teri Bazm Jab Saji Hai
Gham e Zindagi Kahan Hai Abhi Wehshaton Se Fursat
Tere Naz Utha Hi Leingy Abhi Zindagi Padi Hai
Tere Khushk Gaisoun Mein Meri Aarzo Hai Penhan
Tere Shokh Bazoun Mein Meri Dastaan Rachi Hai
Jise Apna Yaar Kehna Usay Chodhna Bhanwar Mein
Ye Hadees e Dilbaraan Hai Ye Kamaal Dilbari Hai
Woh Guzar Gaya Hai SAGHAR Koi Qafla Chaman Se
Kahein Aag Jal Rahi Hai Kahein Aag So Gai Hai

Saghar Siddiqui

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo