Layi hayat aaye, qaza lay chali chalay apni khushi say aaye na apni khushi chalay



Layi hayat aaye, qaza lay chali chalay
apni khushi say aaye na apni khushi chalay
Behtar to yehi hai na dunya say dil lagaye
par kia karein jo kaam na be dil lagi chalay
Kam hon gaye is bisat peh ham jaisay bad qumar
jo chaal ham chalay so nihayat buri chalay
Ho umr e khizar bhi to kahein gay ba-waqt e marg
ham kia rahay yahan abhi aaye abhi chalay
Dunya nay kis ka rah e fana mein dia hai saath
tum bhi chalay chalo yonhi jab tak chali chalay
Nazan na ho khud peh jo hona hai, woh hi ho
danish teri, na kuch meri danishwari chalay

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo