Uska Andaz e Bayan Yaad Raha Aur Kuch Mujh Ko Kahan Yaad Raha



Uska Andaz e Bayan Yaad Raha

Aur Kuch Mujh Ko Kahan Yaad Raha

Ik Faqat Main Hi Nahi Yaad Usay

Woh Jise Sara Jahan Yaad Raha

Kia Rahe Usko Baharon Ki Qadar

Na Jise Guzra Khizan Yaad Raha

Main Samajhta Tha Haqeeqat Jisko

Hai Wahi Wehm o Gumaan Yaad Raha

Aik Khidki Hai Basi Yadoon Mein

Aik Aisa Tha Makan Yaad Raha

Jo Keh Mar Kar Hai Abhi Tak Zinda

Hum Ko Mumtaz Jawan Yaad Raha

Na AWAIS Uski Karo Minnat Tum

Na Jise Apna Bayan Yaad Raha

Awais Bhatti


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai