Aawaargi Barang e Tamasha Buri Nahi Zaoq Nazar Mily Tou Yeh Dunya Buri Nahi
Aawaargi Barang e Tamasha Buri Nahi
Zaoq Nazar Mily Tou Yeh Dunya Buri Nahi
Kehte Hein Teri Zulf e Pareshan Ko Zindagi
Ae Dost Zindagi Ki Tamanna Buri Nahi
Hai Na-Khuda Ka Meri Tabahi Se Wasta
Main Janta Hon Neeyat e Darya Buri Nahi
Jab Zindagi Ko Mil Na Saka Zarfashan Kafan
Zaoq e Fana Ko Chadar e Sahra Buri Nahi
Acha Hoa Keh Manzil e Hasti Se Door Hein
Kuch Rah o Rasam Khizar o Maseeha Buri Nahi
SAGHAR Ke Saath Chal Ke Kabhi Main Bhi Sun Chuka
Wallah Hadees e Badah o Meena Buri Nahi
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 237
Comments
Post a Comment