Ae Husn Lala Faam ! Zara Aankh Tou Mila Khaali Paday Hein Jaam ! Zara Aankh Tou Mila
Ae Husn Lala Faam ! Zara Aankh Tou Mila
Khaali Paday Hein Jaam ! Zara Aankh Tou Mila
Kehte Hein Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi
Dunya Ke Chodh Kam ! Zara Aankh Tou Mila
Kia Woh Na Aaeingy Taron Ke Saath Saath
Tanhaiyun Ke Shaam ! Zara Aankh Tou Mila
Ye Jaam , Yeh Saboo , Yeh Tasawar Ki Chandni
Saqi Kahan Mudaam ! Zara Aankh Tou Mila
Saqi Mujhe Bhi Chahiye Ik Jaam e Aarzoo
KitneLageingy Daam ! Zara Aankh Tou Mila
Pamaal Ho Na Jaye Sitaron Ki Aabroo
Ae Mere Khush-Khiraam ! Zara Aankh Tou Mila
Hein Rah e Kehkeshan Mein Azal Se Khadi Hoe
SAGHAR Tere Ghulam ! Zara Aankh Tou Mila
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 219-220
Comments
Post a Comment