Allah Rey Us Chashm e Inayaat Ka Jadoo Ta Umar Raha Husn e Mulaqaat Ka Jadoo



Allah Rey Us Chashm e Inayaat Ka Jadoo
Ta Umar Raha Husn e Mulaqaat Ka Jadoo


Ma'alom Na Tha Sahar Gazeedgan e Wafa Ko
Subhon Ke Pas e Pardah Hai Zulmaat Ka Jadoo


Aankhon Mein Rawaan Kousar o Tasneem Ka Mantar
Zulfon Mein Nahan Shaam e Kharabaat Ka Jadoo


Aata Ho Jise Rasm e Muhabbat Ka Wazeefa
Chalta Nahi Is Par Gham e Halaat Ka Jadoo


Barbat Ka Jigar Cheer Gai Taar Ki Faryaad
Mutrib Peh Asar Kar Gaya Naghmaat Ka Jadoo


Lehraaye Woh Gaisoo Keh Uthein Gham Ki Ghataein
Ashkon Ki Jhadhi Ban Gai Barsaat Ka Jadoo


Hum Sahir e Aqleem e Sukhan Ban Gaye SAGHAR
Is Dhab Se Jagaya Hai Khayalaat Ka Jadoo

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 210-211


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha