Azmat e Zindagi Ko Baich Diya Hum Ne Apni Khushi Ko Baich Diya



Azmat e Zindagi Ko Baich Diya
Hum Ne Apni Khushi Ko Baich Diya


Chashm e Saqi Ke Ik Ishare Par
Umar Ki Tishnagi Ko Baich Diya


Rind Jaam o Suboo Peh Hansty Hein
Shaikh Ne Bandagi Ko Baich Diya


Rahguzaron Peh Lut Gai Radha
Shiyam Ne Bansari Ko Baich Diya


Jagmagaty Hein Wehshton Ke Dayar
Aqal Ne Aadmi Ko Baich Diya


Lab o Rukhsaar Ke Aiwaz Hum Ne
Sutoot e Khusravi Ko Baich Diya


Ishq Beropiya Hai Ae SAGHAR
Roop Ne Sadgi Ko Baich Diya

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 205-206


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo