Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hon Shaoor o Fikar o Nazar Se Khitab Karta Hon
Chaman Se Barq o Sharar Se Khitab Karta Hon
Shaoor o Fikar o Nazar Se Khitab Karta Hon
Qadam Qadam Khilata Hon Gul o Ma'ani Ke
Jahan e Shams o Qamar Se Khitab Karta Hon
Jabeen Peh Sutoot e Ilham Ke Taqazy Hein
Zuban e Qalb o Jigar Se Khitab Karta Hon
Main Aik Mard e Qalandar , Main Aik Deewanah
Tuloo e Noor Sahar Se Khitab Karta Hon
Mizaj e Shabnam o Lala Se Khitab Karta Hon
Nigah e Shoula Nagir Se Khitab Karta Hon
Na Karwaan Se Shikayat Na Rahnuma Se Kalam
Ghubar e Rah Guzar Se Khitab Karta Hon
Har Aik Gaam Peh Hein Patharo Ki Deewarein
Sukoot e Ahl e Hunar Se Khitab Karta Hon
Ba-Nam e Azmat e Yazdaan Kabhi Kabhi SAGHAR
Waqar Husn e Bashar Se Khitab Karta Hon
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 198-199
Comments
Post a Comment