Chasham e Saqi Ki Inayaat Peh Pabandi Hai In Dinon Waqt Peh Halaat Peh Pabandi Hai
Chasham e Saqi Ki Inayaat Peh Pabandi Hai
In Dinon Waqt Peh Halaat Peh Pabandi Hai
Bikhri Bikhri Hoi Zulfon Ke Fasany Chaido
Mai-Kasho ! Ahd e Kharabaat Peh Pabandi Hai
Dil Shikan Ho Ke Chale Aaye Teri Mehfil Se
Teri Mehfil Mein Tou Har Baat Peh Pabandi Hai
Dard Utha Hai Lahoo Ban Ke Uchalny Ke Liye
Aaj Kehte Hein Keh Jazbaat Peh Pabandi Hai
Har Tamanna Hai Koi Doobta Lamha Jaise
Saaz Maghmoom Hen , Naghmaat Peh Pabandi Hai
Kehkeshan Baam e Suraya Ke Taly Soi Hai
Chand Be-Rang Sa Hai , Raat Peh Pabandi Hai
Aag Seenon Mein Lagi , SAGHAR o Meena Chalky
Koi Kehta Tha Keh Barsaat Peh Pabandi Hai
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 213-214
Comments
Post a Comment