Faryad Ke Taqazay Hein Naghma Sukhan Mein Alfaaz So Gaye Hein Kaghaz Ke Paihan Mein

 


Faryad Ke Taqazay Hein Naghma Sukhan Mein
Alfaaz So Gaye Hein Kaghaz Ke Paihan Mein


Har Aan Das Rahi Hain Mazi Ki Talakh Yaadein
Mahsoos Kar Raha Hon Bechargi Watan Mein


Tukda Koi Aata Ho Ihram Bandagi Se
Sorakh Pad Gaye Hein Ikhlas Ke Kafan Mein


Ae Pasban e Gulshan Tujh Ko Khabar Nahi Hai
Shouly Bhdak Rahe Hein Phoolon Ki Anjuman Mein


Ae Yaar Tere Gham Se Fursat Agar Mili Tou
Tabdilian Karonga Is Aalam e Kuhan Mein


Daikha Hai Main Ne Dil Ki Be-Tabiyun Ka Manzar
Ik Toot'ty Kali Mein , Ik Doobti Kiran Mein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 230


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo