Ghunchay Fiza e Nou Mein Giraftar Ho Gaye Kuch Phool Apne Rang Se Be-Zaar Ho Gaye
Ghunchay Fiza e Nou Mein Giraftar Ho Gaye
Kuch Phool Apne Rang Se Be-Zaar Ho Gaye
Kitne Tasawaraat Hawaoun Mein Ud Gaye
Kitne Khayal Saaya e Deewar Ho Gaye
Shibli Ka Phool Jazba e Mansoor Ki Sada
Raah e Wafa Mein Tegh Ki Jhankar Ho Gaye
Dhalti Rahein Shuor Mein Taron Ki Tabishein
Ik Jaam Pee Ke Sahib e Israr Ho Gaye
Hum Be-Kason Ko Chand Ke Kirnon Se Wasta
Zulfon Ko Chho Lia Tou Khata-Kaar Ho Gaye
Dil Ki Chubhan Ne Kaif e Tamanna Badha Diya
Kanty Bhi Aaj Soorat e Gulzar Ho Gaye
Parwane Ban Gaye Hein Chanbaili Ki Nikhatein
Kia Daikhna Keh Subah Ke Aasaar Ho Gaye
SAGHAR Ka Bijliyun Ne Samaan Aur Kar Diya
Hum Zulmaton Se Khail Ke Anwaar Ho Gaye
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 223-224
Comments
Post a Comment