Har Shagofa Sanan Ki Soorat Hai Mousam e Gul Khizan Ki Soorat Hai



Har Shagofa Sanan Ki Soorat Hai
Mousam e Gul Khizan Ki Soorat Hai


Lamha Lamha Hai Bojh Seeny Mein
Waqt Sang e Garan Ki Soorat Hai


Hai Waraa e Qarar Aansoo Bhi !
Dard Ik Mehruban Ki Soorat Hai


Rasty Rah-Numa e Deedah o Dil
Zindagi Karwaan Ki Soorat Hai


Zouq e Tadbeer Ho Tou Har Zarrah
Jalwah e Kehkeshan Ki Soorat Hai


Zindagani Hai Gosh Bar Aawaaz !
Aadmi Dastaan Ki Soorat Hai


Haaye Dejwar e Mehfil Hasti
Khamshi Bhi Zuban Ki Soorat Hai


Mere Asha'ar Sun Ke Farmaya
Aik Yeh Bhi Fughan Ki Soorat Hai


Apna Veezana e Alam SAGHAR
In Dinon Gulistan Ki Soorat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 201-202


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo