Insan Bad-Naseeb , Muqadar Ki Baat Hai Gul Ko Mily Saleeb , Muqadar Ki Baat Hai



Insan Bad-Naseeb , Muqadar Ki Baat Hai
Gul Ko Mily Saleeb , Muqadar Ki Baat Hai


Ahl e Junoon Ke Haath Mein Dono Ko Jahan Ki Baag
Khatre Mein Hai , Muqadar Ki Baat Hai


Zakham e Bahar Ban Gai Phoolon Ki Aarzoo
Sara Chaman Raqeeb , Muqadar Ki Baat Hai


Ahl e Chaman Ko Luknat e Mahol Kha Gai
Har Be-Nawa Khateeb , Muqadar Ki Baat Hai


Zakhmon Ko Chaidty Hein Ba-Nam e Ilaaj Nou
Is Daur Ke Tabeeb , Muqadar Ki Baat Hai


Taskeen e Justjo Na Andaza e Qiyam
Manzil Ke Hein Qareeb , Muqadar Ki Baat Hai


Sahra Ki Dhoop Ban Gai SAGHAR Ki Tishnagi
Dushman Bany Habeeb , Muqadar Ki Baat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar

Page No 188-189


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo