Jab Gulistan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hein Yaad Bhooly Hoe Yaaron Ke Karam Aate Hein
Jab Gulistan Mein Baharon Ke Qadam Aate Hein
Yaad Bhooly Hoe Yaaron Ke Karam Aate Hein
Log Jis Bazam Mein Aate Hein Sitare Le Kar
Hum Usi Bazam Mein Ba-Deedah e Nam Aate Hein
Main Woh Ik Rind Kharabaat Hon Mai-Khane Mein
Mere Sajday Ke Liye Saghar e Jim Aate Hein
Ab Mulaqaat Mein Woh Garmi e Jazbaat Kahan
Ab Tou Rakhne Woh Muhabbat Ka Bharam Aate Hein
Qurb e Saqi Ki Wazahat Tou Badi Mushkil Hai
Aise Lamhe Thay Jo Taqdeer Se Kam Aate Hein
Main Bhi Jannat Se Nikala Hoa Ik Butt Hi Tou Hon
Zaoq e Takhleeq Tujhe Kaise Sitam Aate Hein
Chashm e SAGHAR Hai Ibadat Ke Tasawar Mein Sada
Dil Ke Ka'abay Mein Khayalon Ke Sanam Aate Hein
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 228-229
Comments
Post a Comment