Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne Zahe Naseeb Keh Hans Kar Guzar Di Hum Ne



Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne
Zahe Naseeb Keh Hans Kar Guzar Di Hum Ne


Kali Kali Humain Hairanion Se Takti Hai
Keh Pat-Jadhon Mein Sada e Bahar Di Hum Ne


Khayal e Yaar Ki Rangeenion Mein Gum Ho Kar
Jamaal e Yaar Ki Azmat Nikhar Di Hum Ne


Usay Na Jeet Saky Ga Gham e Zamana Ab
Jo Kaaenaat Tere Dar Peh Haar Di Hum Ne


Woh Zindagi Keh Jise Zindagi Se Nisbat Thi
Tumhari Zulf e Pareshan Peh War Di Hum Ne


Kuch Aisa Sard Hoa Jazba e Wafa SAGHAR
Khud Apni Zaat Ko Hans Hans Ke Haar Di Hum Ne

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 194


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo