Kia Samaan Tha Bahar Se Pehly Gham Kahan Tha Bahar Se Pehly



Kia Samaan Tha Bahar Se Pehly
Gham Kahan Tha Bahar Se Pehly


Aik Nanha Sa Aarzoo Ka Diya
Zoofishan Tha Bahar Se Pehly


Ab Tamasha Hai Chaar Tinkon Ka
Aashiyan Tha Bahar Se Pehly


Ae Mere Dil Ke Dard , Tu Hi Bata
Tu Kahan Tha Bahar Se Pehly


Pichli Shab Mein Khizan Ka Sannata
Hum-Zuban Tha Bahar Se Pehly


Chandni Mein Yeh Aag Ka Dariya
Kab Rawaan Tha Bahar Se Pehly


Ban Gaya Hai Sahab e Mousam e Gul
Jo Dhuwaan Tha Bahar Se Pehly


Lut Gai Dil Ki Zindagi SAGHAR
Dil Jawan Tha Bahar Se Pehly

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 203-204


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo