Kuch Kaif e Sahar Hai Na Mujhe Shaam Ka Nasha Hai Mere Liye Badah e Be-Nam Ka Nasha



Kuch Kaif e Sahar Hai Na Mujhe Shaam Ka Nasha
Hai Mere Liye Badah e Be-Nam Ka Nasha


Aankhon Se Chalakty Hoe Irfan Ke Tarany
Zulfon Se Barasta Hoa Ilham Ka Nasha


Har Gaam Larazty Hoe Tadbeer Ke Paikar
Taqdeer Ki Aankhon Hai Aalaam Ka Nasha


Har Dil Mein Tadapty Hoe Arman Ki Kahani
Har Aankh Mein Khoon e Dil Na-Kaam Ka Nasha


Phir Doob Gaya Gaisoo e Janaan Ki Mehik Mein
Do Din Tou Raha Gardish e Ayyaam Ka Nasha


Hein Sheesha o SAGHAR Ke Rang Yahan Anokhy
Hai Aik Yahan Badah o Gulfaam Ka Nasha

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 233


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha