Kuch Log Bicha Kar Kanton Ko Gulshan Ki Tawaku Rakhty Hein Shoulon Ko Hawa Dy Dy Kar Savan Ki Tawaku Rakhty Hein



Kuch Log Bicha Kar Kanton Ko Gulshan Ki Tawaku Rakhty Hein
Shoulon Ko Hawa Dy Dy Kar Savan Ki Tawaku Rakhty Hein


Mahol Ke Tapty Sahra Se , Halaat Ki Ujdi Shakhon Se
Hum Ahl e Junoon Phoolon Se Bhare Daman Ki Tawaku Rakhty Hein


Jab Sab Asasa Lut Jaye Taskeen e Safar Ho Jati Hai
Hum Rahnumaoun Ke Badly Rahzan Ki Tawaku Rakhty Hein


Sangeen Chatanon Se Dil Ke Dukhny Shikayat Karte Hein
Zulmat Ke Nagir Mein Noorani Aangan Ki Tawaku Rakhty Hein


Woh Gaisoo e Janaan Hon SAGHAR Ya Gardish Dauran Ke Saaye
Ae Waaye Muqadar Donon Se Uljhan Ki Tawaku Rakhty Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 212


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha