Mangi Hai Is Diyar Mein Donon Jahan Ki Bheek Lekin Mili Humain Dil e Na-Kamran Ki Bheek
Mangi Hai Is Diyar Mein Donon Jahan Ki Bheek
Lekin Mili Humain Dil e Na-Kamran Ki Bheek
Aise Bhi Rah e Zeest Mein Aaye Kai Muqam
Mangi Hai Paa e Shouq Ne Azm e Jawaan Ki Bheek
Be-Noor Ho Gai Hein Sitaron Ki Bastiyan
Saqi A'ata Ho Badah e Shoula-Fishan Ki Bheek
Ab Aur Kia Taghayur o Taqdeer Chahiye
Jholi Mein Dal Di Tere Nam o Nishan Ki Bheek
Khud Bik Gaye Hayat Ki Neelam-Gaah Mein
Woh Bant'ty Thay Jo Kabhi Kon o Makan Ki Bheek
Do Chaar Patiyun Peh Hai Ranjish Bahar Se
Saael Ne Mang Li Hai Kahan Gulistan Ki Bheek
ALLAH Unke Naqsh e Kaf e Paa Ki Khair Ho
Zarron Ko Dy Gaye Jo Mah o Kehkeshan Ki Bheek
SAGHAR Khusha Keh Gohar e Umeed Pa Lia
Qismat Se Haath Aai Gham e Dostan Ki Bheek
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 247-248
Comments
Post a Comment