Manzil e Gham Ki Fizaoun Se Lipat Kar Ro Loon Tere Daman Ki Hawaou Se Lipat Kar Ro Loon



Manzil e Gham Ki Fizaoun Se Lipat Kar Ro Loon
Tere Daman Ki Hawaou Se Lipat Kar Ro Loon


Jaam e Mai Peeny Se Pehle Mera Jee Chahta Hai
Bikhri Zulfon Ki Ghataoun Se Lipat Kar Ro Loon


Zard Ghunchon Ki Nigahon Mein Nigahein Daloon
Surkh Phoolon Ki Qubaoun Se Lipat Kar Ro Loon


Aany Wale Tere Rastay Mein Bichaoun Aankhein
Jany Wale Tere Pavon Se Lipat Kar Ro Loon


Apne Majboor Taqaddus Ke Sahare SAGHAR
Der o Ka'abah Ke Khudaoun Se Lipat Kar Ro Loon

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 207


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo