Mata'a e Dil Se Khali Ho Gaye Hein Tere Dar Ke Sawali Ho Gaye Hein



Mata'a e Dil Se Khali Ho Gaye Hein
Tere Dar Ke Sawali Ho Gaye Hein


Nazar Majrooh Nazaron Se Daikhi
Hawadis Kuch Khayali Ho Gaye Hein


Chalo Ae Bulbulo Is Gulistan Se
Yahan Sayaad Mali Ho Gaye Hein


Tumare Gaisoun Ki Tergi Se
Andhre Bhi Jamaali Ho Gaye Hein


Humare Dagh e Dil Ke Tarjuman Hein
Sitare Meer o Haali Ho Gaye Hein


Hazar Walwaly SAGHAR Chaman Mein
Khizaan Ke Khushk Daali Ho Gaye Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 238


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo