Rahzan Aadmi Rahnuma Aadmi Barhaa Ban Chuka Hai Khuda Aadmi
Rahzan Aadmi Rahnuma Aadmi
Barhaa Ban Chuka Hai Khuda Aadmi
Haaye Takhleeq Ki Kar Pardaziyan
Khaak See Cheez Ko Keh Diya Aadmi
Khul Gaye Jannaton Ke Wahan Zaaechay
Do Qadam Jhoom Ke Jab Chala Aadmi
Zindagi Khanqah e Shahood o Baqa
Aur Loh e Mazar e Fana Aadmi
Subah Chand Ki Rukhsati Ka Samaan
Jis Tarah Bahar Mein Doobta Aadmi
Kuch Fareshton Ki Taqdees Ke Wastay
Seh Gaya Aadmi Ki Jafa Aadmi
Goonjti Hi Rahegi Falak Dar Falak
Hai Maseeyat Ki Aisi Sada Aadmi
Aas Ki Mooratein Poojty Poojty
Aik Tasweer See Ban Gaya Aadmi
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 243-244
Comments
Post a Comment