Sab Se Tera Karam Ghaneemat Hai Jo Guzar Jaye Dum Ghaneemat Hai



Sab Se Tera Karam Ghaneemat Hai
Jo Guzar Jaye Dum Ghaneemat Hai


Aap Subah e Bahar Le Jaein
Mujh Ko Shaam e Alam Ghaneemat Hai


Khuwahishon Ki Paristashein Touba
Aadmi Ka Bharam Ghaneemat Hai


Itni Dushwar Tou Nahi Manzil
Zulf e Janaan Ka Kham Ghaneemat Hai


Is Taqadus Ke Qahat Mein Yaaro
Unka Naqsh e Qadam Ghaneemat Hai


Talkhi e Kaaenaat Hai Dil Mein
Jaam Mein Hi Sitam Ghaneemat Hai


Shabnami Shabnami Fizaoun Mein
Daolat e Chasham e Nam Ghaneemat Hai

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 239


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo