Sar e Maqtal Humain Naghmaat Ki Ta'aleem Daity Hein Yahan Ahl e Nazar Zulmaat Ki Ta'aleem Daity Hein



Sar e Maqtal Humain Naghmaat Ki Ta'aleem Daity Hein
Yahan Ahl e Nazar Zulmaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kaliyan Mehikti Hein Magar Khushbo Nahi Hoti
Shagofay Barmila Aafaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kuch Log Aise Bhi Hein Zartabi Qubaoun Mein
Sahar Ka Nam Le Kar Raat Ki Ta'aleem Daity Hein


Yahan Kuch Log Aise Bhi Hein Irfan e Baharan
Woh Phoolon Ko Naye Jazbaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Rah e Taqdeer Is Din Ke Liye Kia Dhoop Aur Saaye
Tere Gaisoo Jinhein Halaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Humain Zaiba Nahi Daita Rah e Dushwar Ka Manzar
Keh Sahraoun Mein Bhi Barsaat Ki Ta'aleem Daity Hein


Jahan SAGHAR Sharaab e Zindagi Ik Zehar Qatil Hai
Yaqeen Wale Wahan Khadshaat Ki Ta'aleem Daity Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 192-193


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai