Sitam Jagty Hein Karam So Rahe Hein Muhabbat Ke Jah o Hasham So Rahe Hein



Sitam Jagty Hein Karam So Rahe Hein
Muhabbat Ke Jah o Hasham So Rahe Hein


Mare Nuqta-Saazo ! Sukhan Ke Khudao !
Pukaro Keh Loh o Qalam So Rahe Hein


Wahan Chandni Ke Qadam Dolty Hein
Jahan Tere Naqsh e Qadam So Rahe Hein


Har Ik Zehan Mein Hai Khudai Ka Da'awa
Har Ik Aasteen Mein Sanam So Rahe Hein


Yahan Khuwab e Rahat Faraib Yaqeen Hai
Na Tum So Rahe Ho Na Hum So Rahe Hein


Meri Ujdi Ujdi See Aankhon Mein SAGHAR
Zamane Ke Ranj o Alam So Rahe Hein

 
Poet:Saghar Siddiqui
Kulyat e Saghar
Page No 215


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo